Singer ; Rahat Fateh Ali Khan
Bhool Jaanay ka hunar
Mujh ko sikhaatay jaao
Jaa rahay ho tou sabhi
Naqsh mitaatay jaao
Chalo rasmann he sahi
Murr ke mujhe dekh tou lo
Torrtay tortay taaluq ko
Nibhaatay jao
Kabhi kabhi yeh mujhay sataye
Kabhi kabhi ye rulaye
Faqat mere dil se utar jaiye ga
Bicharna Mubarak bichar jaiye ga
Kabhi kabhi yeh mujhe sataye
Kabhi kabhi ye rulaye
Mein samjha tha tum ho Tu kiya aur mangoon
Meri zindagi mein Meri aas tum ho
Yeh duniya nahi hai Mere pass tou kiya
Mera ye bharam tha Mere pass tum ho
Magar tum say seekha Mohabbat bhi ho tu
Dagha kijiye ga Mukar jaiye ga
Tera haath kal tak Mere haath mein tha
Tera dill dharakta tha Dil mein hamaare
Ye makhmoor aankhein Jo badli hui hain
Kabhi hum ne inkayhain sadqay utaarey
Kaheen ab mulaqaat Ho jaaye hum se
Bacha kar nazar ko Guzar jaaiye ga
Baray kam nazar thay gunahgaar thay hum
magar tere dil ko lubhatay rahay hn
yehi shoch kr tum bhula do khataaen
tughay hum bhht yaad aatay rahay hn
Kabhi kabhi yeh mujhay sataye
Kabhi kabhi ye rulaye
Bari chaal seedhi hai roothay dilon ki
palat kr kabhi phir wo murtay nahin hain
mohabat ki dori wafaaon k dhaagay
agar toot jaen to jurtay nahin hn
Faqat ik mulaqaat maangi ha tum se
mila kr nazar ko guzar jaaiay gaa
Jeena hai tere binaa
Jeena hai ab mujhko tere bina
Kahan jor paaen gay hum dharkanon ko
k dil ki tarha hum b tootay hoay hn
ye mana k tum se khafa hn zara hum
magar zindgi se b rothy hoay hn
yehi hum ne sekha ha jurm e wafa se
bichar jaaiay ga to mar jaayiay ga
Mere pas tum ho full song lyrics till last episode
Reviewed by Admin
on
January 26, 2020
Rating:

No comments: